Lyrics of Kab Tere Husn Se Inkar Kiya Hai Maine - कब तेरे हुस्न से इंकार किया है मैंने
kab tere husn se inkar kiya hai maine
kab tere husn se inkar kiya hai maine
jindagi tujhse bahut pyar kiya hai maine
muskurati hai kisi aankh me kajal banke
kisi ke dhadak uthti hai aachal banke
kabhi phulo ke kataro se chalak jati hai
kabhi shole kabhi shabnam se lapak jati hai
kaise kaise tera didar kiya hai maine
kaise kaise tera didar kiya hai maine
tu har ek rang har ek saye me najar aati hai
jarre jarre se kiran bankar ubhar aati hai
tere jadu teri khusbu teri muskano ko
tere umde hue machle hue toofano ko
apni sanso me giraftar kiya hai maine
jindagi tujhse bahut pyar kiya hai maine
tujhko chaha to magar koi takaja na kiya
maine bhule se tere pyar ko ruswa na kiya
ye bata maine kabhi tujhse churai aankhe
tere chehre se kaha maine hatai aankhe
mujhko kab tera gunehgar kiya hai maine
jindagi tujhse bahut pyar kiya hai maine
maut aayegi to ek pal ki na fursat degi
saans lene ki bhi kambakht na mohlat degi
jite jee kisliye phir aapko nasad kare
jindagi ek bhi pal kyu tera barbad kare
lamha lamha ye ikrar kiya hai maine
jindagi tujhse bahut pyar kiya hai maine
jindagi tujhse bahut pyar kiya hai maine
What a beautful song fr."sandhya" by M'kapoor . Khayyam saab's gr8
composition. Can any one say who is the lyricist ?