Lyrics of Kabhee Aansu, Kabhee Khushabu, Kabhee Nagma Bankar - कभी आँसू, कभी खुशबू, कभी नगमा बनकर
kabhi aansu, kabhi khushboo, kabhi nagma bankar
hum se har sham mili hai, tera chehra bankar

meri jaagi hui raaton ko usi ki hai talaash

so raha hai meri aankho me jo sapna bankar
so raha hai meri aankho me jo sapna bankar
hum se har sham mili hai, tera chehra bankar
kabhi aansu, kabhi khushboo, kabhi nagma bankar
raat bhi aaye toh bujhti nahi chehre ki chamak

ruh me fhel gaya hai wo ujala bankar
ruh me fhel gaya hai wo ujala bankar
hum se har sham mili hai, tera chehra bankar
kabhi aansu, kabhi khushboo, kabhi nagma bankar
dhoop me kho gaya wo hath chhudakar raashid

ghar se jo sath chala tha mera saya bankar
ghar se jo sath chala tha mera saya bankar
hum se har sham mili hai, tera chehra bankar
kabhi aansu, kabhi khushboo, kabhi nagma bankar
kabhi aansu, kabhi khushboo, kabhi nagma bankar
My Goodness, what a great ghazal...truly fell in love with this
one...amazingly touchy lyrics, in the magical, mesmerizing voice of maestro
Pankaj Udhas, with such a great group of musicians.Waah.just close
your eyes and listen to it..Thx so much for uploading...