deke lahu apni mamata ka tune mujhko pala
har pal mere dukh pe apne sukh ka aachal dala
kabhi mandir kabhi pooja, kabhi pooja ka wardan lage

meri maa mujhko bhagwan lage
meri maa mujhko bhagwan lage
kabhi tulsi ki ramayan, kabhi geeta ka gyan lage

maa teri aankho se barse amarit ki dhara
tera pyar to lagta hai sari duniya se nyara

kabhi sukh ki behti ganga, kabhi karuna ki pehchan lage
kabhi sukh ki behti ganga, kabhi karuna ki pehchan lage
meri maa mujhko bhagwan lage
meri maa mujhko bhagwan lage
mere to hotho me hai maa bas naam tera
in carno ki mitti me hi beete jivan mera
mere to hotho me hai maa bas naam tera
in carno ki mitti me hi beete jiwan mera
meri maa ki pawan murat, mujhe jag me sabse mahan lage
meri maa ki pawan murat, mujhe jag me sabse mahan lage
meri maa mujhko bhagwan lage
meri maa mujhko bhagwan lage
bachcho ke sukh me soye, bachcho ke dukh me jage

kisi chiz ka mol na koi maa ki mamta ke aage
kabhi ped ki thandi chhaya, kabhi sneh bhari muskan lage
kabhi ped ki thandi chhaya, kabhi sneh bhari muskan lage
meri maa mujhko bhagwan lage
meri maa mujhko bhagwan lage
kabhi mandir kabhi pooja, kabhi pooja ka wardan lage
meri maa mujhko bhagwan lage
meri maa mujhko bhagwan lage
kabhi tulsi ki ramayan, kabhi geeta ka gyan lage
meri maa mujhko bhagwan lage
meri maa mujhko bhagwan lage
lyrics typed by :- ruchita parab