kabhi yun bhi to ho
kabhi yun bhi to ho
dariyaa kaa saahil ho, poore chaand ki raat ho
aur tum aao
kabhi yun bhi to ho
kabhi yun bhi to ho
pariyon ki mahfil ho, koi tumhaari baat ho
aur tum aao
kabhi yun bhi to ho
kabhi yun bhi to ho
kabhi yun bhi to ho
ye naram mulaayam thandi havaayen
jab ghar se tumhaare guzaren, tumhaari khushboo churaayen
mere ghar le aayen
kabhi yun bhi to ho
kabhi yun bhi to ho
sooni har mahfil ho, koi naa mere saath ho
aur tum aao
kabhi yun bhi to ho
kabhi yun bhi to ho
kabhi yun bhi to ho
kabhi yun bhi to ho
ye baadal aisaa toot ke barse
mere dil ki tarah milne ko, tumhaara dil bhi tarse
tum niklo ghar se
kabhi yun bhi to ho
kabhi yun bhi to ho
tanhaai ho dil ho, boonde hon barsaat ho aur tum aao
kabhi yun bhi to ho
dariyaa kaa saahil ho, poore chaand ki raat ho
aur tum aao
kabhi yun bhi to ho
kabhi yun bhi to ho
kabhi yun bhi to ho
kabhi yun bhi to ho
This is the first time , i listened this ghazal... its fantastic , mind blowing. I am playing it again and again. <3 jagjit Singh , no comparison