kaha chhod ke chala hai tu ye phulo bhari rahe
mere desh ki hawaye pardesiya
kaha chhod ke chala hai tu ye phulo bhari rahe
mere desh ki hawaye pardesiya
jara mud ke to dekh khoi khoi ye nigahe
meri thandi thandi aahe pardesiya
haye kaha chhod ke chala hai
saiya maan na maan mera dil anjan
bhula dunia ka pyar tere pyar me
saiya maan na maan mera dil anjan
bhula dunia ka pyar tere pyar me
maine chup chup haye din raat banaye
mitho sapno ke har tere pyar me
jara mud ke to dekh khoi khoi ye nigahe
meri thandi thandi aahe pardesiya
haye kaha chhod ke chala hai ye phulo bhari rahe
mere desh ki hawaye pardesiya
kaha chhod ke chala hai
tu jo laut ke aaye mujhe mukhda dikhaye
to mai ankhiya bichau teri raah me
tu jo laut ke aaye mujhe mukhda dikhaye
to mai ankhiya bichau teri raah me
bas ek baar meri sunke pukar
mai to jal jal jau teri chah me
jara mud ke to dekh khoi khoi ye nigahe
meri thandi thandi aahe pardesiya
haye kaha chhod ke chala hai ye phulo bhari rahe
mere desh ki hawaye pardesiya
kaha chhod ke chala hai
Fine composition by Hemant Kumar and beautiful singing by Lata Mangeshkar. Thank you. It is a new song for me.