main yahin hun
meri jaan kahan hai tu
aake de jaa dil ko
mere tu sukun
zindagi tu meri
par juda hai yun
dil mein jo hai mere
kyu na kah sakun
tere sang hun to main
dil se haaye ye kah dun
ke hanste hanste main
har gham yuhi sah lun
meri manzil tu hai
haan meri dua tu
ye malum tujhe hai
aa phir bhi khafa kyun
teri hi yaadon mein
rahat ki barsaton mein
yaadein kyun tadpaye
tanha hum na jee paye
main yahin hun
meri jaan kahan hai tu
aake de jaa dil ko
mere tu sukoon
zindagi tu meri
par juda hai yun
dil mein jo hai mere
kyu na keh sakun
kaise bataun tere sang hee pura
mehsus karu main har waqt adhura
kaisi ye doori kaise fasle hai
tere bina yun jee na main sakunga
tu hi tu hai meri khushi hai
zindagi meri tujhse judi hai
kehne ko par lafz nahi hai
kaise samjhaaun tujhe
teri ha teri hi kaami hai
aankhon mein dhundli si nami hai
wo jo baate ankahi hai
kehna chaahun main
main jiyun kaise tere bina yu main
kar lun haa kar lun
kuch bhi tere pyar mein
dil mein dhadkan mein
haan har jagah tu hai
din wo haan pal wo
yaad karta hoon main