kahin door jab din dhal jaye
saanjh ki dulhan badan churaye, chupke se aaye
kahin door jab din dhal jaye
saanjh ki dulhan badan churaye, chupke se aaye
mere khayaalon ke aangan mein
koi sapno ke deep jalaaye, deep jalaaye
kahin door jab din dhal jaye
saanjh ki dulhan badan churaye, chupke se aaye
kabhi yu hi, jab huyi bojhal saanse
bhar aayi baithe baithe, jab yu hi aankhe
kabhi yu hi, jab huyi bojhal saanse
bhar aayi baithe baithe, jab yu hi aankhe
tab hi machal ke, pyaar se chal ke
chhuye koyi mujhe par, najar na aaye
najar na aaye
kahin door jab din dhal jaye
saanjh ki dulhan badan churaye, chupke se aaye
dil jaane mere, saare bhed ye gahre
ho gaye kaise mere, sapne sunhare
dil jaane mere, saare bhed ye gahre
ho gaye kaise mere, sapne sunhare
ye mere sapne, yahi to hain apne
mujhse juda na honge, inke ye saaye
inke ye saaye
kahin door jab din dhal jaye
saanjh ki dulhan badan churaye, chupke se aaye
kisi bhi legend ki zndagi dukhun say khali naheee kiunnn dolat orr shohrat
khushyoon ki zamanat kiun naheee