aabaad ho gaya mere dil mein jahaan-e-ishq
meri hayaat ban gayi hai dastaan-e-ishq
tere karam ki chaah mein aaya tere hujur
tere siva hai kaun jo samjhe jubaan-e-ishq
kaisa hai tere ishq mein deewana dekh le
kaisa hai tere ishq mein deewana dekh le
tu bhi to mera haal-e-fakeerana dekh le
tu bhi to mera haal-e-fakeerana dekh le
kaisa hai tere ishq mein
mera jaha se koi bhi rishta nahin raha
mera jaha se koi bhi rishta nahin raha
tu hai shareek-e-haal main tanhaa nahin raha
tu hai shareek-e-haal main tanhaa nahin raha
har shay mein tu hi tu
har shay mein tu hi tu nazar aata hai jalwagar
aankhon mein koi dusra jalwa nahin raha
main apni jaat se bhi hoon begana dekh le
main apni jaat se bhi hoon begana dekh le
tu bhi to mera haal-e-fakeerana dekh le
kaisa hai tere ishq mein
ishq hi zindagi ka haasil hai
ishq hi zindagi ka haasil hai
ishq hi bekhudi ki manzil hai
ishq hi bekhudi ki manzil hai
ishq na ho to kaaynaat na ho
rang ki noor ki saugaat na ho
ishq sajda bhi hai ibadat bhi
ishq aaina-e-sadakat bhi
ishq ehal-e-junoon ka raaz bhi hai
ishq ki arsh tak parwaaz bhi hai
ye dil hai shamm-e-ishq ka
parvana dekh le
ye dil hai shamm-e-ishq ka
parvana dekh le
tu bhi to mera haal-e-fakeerana dekh le
kaisa hai tere ishq mein
tujhko bhula ke jeena gawara nahin kiya
tujhko bhula ke jeena gawara nahin kiya
are daaman ko aansuo se bhi maila nahin kiya
are daaman ko aansuo se bhi maila nahin kiya
tujhse mili thi zindagi
tujhse mili thi zindagi tujhko hi saup di
ae ishq tere naam ko ruswa nahin kiya
likha lahu ke rang mein afsana dekh le
likha lahu ke rang mein afsana dekh le
tu bhi to mera haal-e-fakeerana dekh le
kaisa hai tere ishq mein deewana dekh le
kaisa hai tere ishq mein deewana dekh le
kaisa hai tere ishq mein