Thumb Song Heading Singer Composer Lyricist Actor Film (Year) Category
screen shot of song - Kaise Besharm Aashiq Hai
4.20 - 85 votes
Jay Mala, Yusuf Azad, Rashida Khatoon
Video of this song from youtube
Lyrics of Kaise Besharm Aashiq Hai - कैसे बेशर्म आशिक है ये आज के
kaise besharm aashiq hai ye aaj ke
kaise besharm aashiq hai ye aaj ke
inko apna banana gjab ho gaya
kaise besharm aashiq hai ye aaj ke
inko apna banana gjab ho gaya
dhire dhire kalai lage thamne
dhire dhire kalai lage thamne
inko anguli thamana gjab ho gaya
dhire dhire kalai lage tham ne
inko anguli thamana gjab ho gaya

jo ghar me sil pe masala talak na pees sake
unhe ye naz hume khak me milayenge
kalai dekho to chhudi ka bhojh sah na sake
or uspe dava ke talwar hum uthayenge
fareb me in ka nahi koi insani
ye jisko das le vo mange na umarbhar pani
bada ajib hai dastur inki mehfil ka
bulaya jata hai izat badhayi jati hai
fir uske baad katal karke aashik ko
badi dhoom se mayiyat uthai jati hai

khata hamari hai jo humne unse pyar kiya
bura kiya jo hasino pe aitbar kiya
bhul humse hui inke aashik bane
bhul humse hui inke aashik bane
paas inko bulana gajab ho gaya
bhul humse hui inke aashik bane
paas inko bulana gajab ho gaya
thokro me the jab tak to sidhe the ye
thokro me the jab tak to sidhe the ye
arey inko sir pe baithana gajab ho gaya
thokro me the jab tak to sidhe the ye
inko sir pe baithana gajb ho gaya

hum orato ko nazar se utarne valo khabar bhi hai tumhe
sher ki bhagarne valo ke zamin pe putli bhi ek orat hai
jisme mard ko lalkarne ki himmat hai
pehan ke sir pe dileri ka taj baithi hai
jo ghar me thi vo singhasan pe aaj baithi hai
ager jhuke to ye dil kya jaan bhi de de
jo sir uthaye to mardo ki jaan bhi lele
agar chhe phul ka haar hai yahi orat
jo jid pe aaye to talwar hai yahi orat

ye putli ban ke jamane ko mod sakti hai
uthe to mard ka panja marod sakti hai
teri himmat pe putli hume naz hai
teri himmat pe putli hume naz hai
tera maida me aana gajab ho gaya
teri himmat pe putli hume naz hai
tera maida me aana gajab ho gaya
ek din bole farishte karle dunia ki sair
ya khuda dunia teri suni hai orat ke baiger
uth pade himmat dikhane ke liye kudrat ke hath
soch li mola ne orat ko janam dene ki baat

isi tarah malik ne ki karigari ki ittada chand se manga ujala
nur suraj se liya roop sainyaro se manga
rang usha se liya pankhadi se li nazakat
or kaliyo se ada sham se kajal liya
or subha se vada liya bijaliyo se kahar manga
aag se gussa manga hosla chattan se or dard panchhi se liya
aasma se julm manga sabr dharti se liya
shaakh se angdaaiya jharano se ithlana liya
bubule se nazuki or nadi se balkhana liya
aayine se rehti tasvir se khamoshiya lahar se athkheliya maangi
pawan se sokhiya aankh li hirni se or shabnam se aasu le liya

badaliyo se julam or nazaro se jadu le liya
laajvanti se sharm or raat rani se haya
aabru moti se li suraj mukhi se li wafa
zahar nagin se liya or saap se dasna liya
katana bichhu se maanga or teer se chubhana liya
lomdi se mang li ta umar ki makkariya
makhiyo se shor or machhar se li aayariya
itni chize jab lagi mola ke hath or

in sab ko milaya jab khuda ne ek sath
tab jakar badi mehnat se ek murat bani
dil nashi figar bana ek dil ruba surat bani
dekh kar apni kalakari ko mola has pada
or usi anmol shai ka naam orat rakh diya
rakh chuka jab naam uske baad yu kehne laga
mai bana kar tujhe khud pareshan hu
mai bana kar tujhe khud pareshan hu
arey tujhko dunia me lana gajab ho gaya
mai bana kar tujhe khud pareshan hu
arey tujhko dunia me lana gajab ho gaya

jab mere mola ne socha mard ko paida kare
sabse pehle ye sawal aaya ke kudrat kya kare
patharo se sandhi li or berukhi takdir se
keher tufano se manga or gajab shamsir se
li gadhe se akal or kauve se saiyanapan liya
or kuch kutte ki tedhi dum se tedhapan liya
ghat li billi se or chuhe se maanga bhagna
or ullu se liya raato ko iska jagna
le liya tote se aankhe fer lene ka chalan
bhediye se khoon peene ka liya diwanapan

li gayi girgit se har dam rang badalne ki ada
jisse orat ko diya karta rahe dhokha sada
to isko nafarmaniya bakshi gayi shaitan ki
jhuth bole ye kha kar kasam bhagwan ki
leke mitti me masala jab ye milvaya gaya
sarkh us dam marad ki fitrat me ye paya gaya
marad ke putlo me jis dam jaan dhaudai gayi
usme orat ki bhi thodi si ada payi gayi
orato me mard ki surat nahi milti janab
par mardo me milte hai jannane behisab

shakal mardo ki to adat janane ho gaye
shakal mardo ki to adat janane ho gaye
kya khuda ne chaha tha or kya na jane ho gaye
ban chuke marad jab to mola ne mere yu kaha kya
acha khasa banaya tha maine ise
acha khasa banaya tha maine ise
ban gaya ye janana gjab ho gaya
acha khasa banaya tha maine ise
ban gaya ye janana gjab ho gaya

vaah rey putli bai kya dileri dikhayi
teri himmat ke sadke teri jarurat ke sadke
tu bahadur tu nidar akal or hosh tujhme
jism orat ka lekin mard ka josh tujhme
teri himmat ki kasam vakayi sher hai tu
jisko samjhe na koi wo ulat fer hai tu
teri himmat ki kasam wakayi sher hai tu

tune jo kuch bhi muh se kaha kar diya
tune jo kuch bhi muh se kaha kar diya
tera kar ke dikhana gajb ho gaya
tune jo kuch bhi muh se kaha kar diya
tera kar ke dikhana gajb ho gaya
teri himmat pe putli hume naz hai
tera maida me aana gajab ho gaya
teri himmat pe putli hume naz hai
lyrics of song Kaise Besharm Aashiq Hai
Comments on song "Kaise Besharm Aashiq Hai"
Manoj Kureel on Wednesday, January 05, 2011
mindblowing..!!!!!amazing...i salute the lyrist who wrote this
masterpiece..kya 'upma' di hai..kamaal hai..'sangdili pathar se
li,,,khamshi tasveer se,,kehar tufaanon se manga,,aur gazab shamsheer
se...panchi se dard aur dharti se sbr lia..kya kehne..kamaal hai..!mein
jafar gorakhpuri sahab ke baare me aur jajana chahta honn..kya koi hazrat
unke baare me jankari rakhte hai..ek baat aur ye qawali ke kuch misre kate
hue hai..gar mumkin ho to poori qawali upload kijiyega
Pravin Mitkar on Wednesday, September 01, 2010
thank you very much , boys now a days don't khow this song .but if they
know the meaning of this song they will be mad . can you dilij1 or anyone
who reads my comments put words of this quwali in devnagari text ? I have
got 45 RPM record of this quwali bought in 1978. I have written the words
though. But I am not certain they are correct.
vishnukant on Monday, January 17, 2011
I remembered this great Qwali by Yusuf Azad and Rashida Khatoon since the
time it was released. It became very famous. Thanks for posting. I listened
it after 3 decades.
dilij1 on Friday, August 14, 2009
Bahot bahot shukriya. Mere khayaal se aap agar India me hain tau kahin se
bhi mil jaani chahiye. Yahaan YT se bhi download kar shakte hain, shaayad.
gajendrasinghsolanki on Thursday, July 01, 2010
fentastik I am searching this qualli for long time today is finished my search thank you so much you tube
Movie Film Cast Singer Lyricist Composer Director Producer External LinksVideo Links
Putlibai (1972)
Sujit Kumar, Jay Mala, Hiralal, BhagwaniKishore Kumar, Asha BhosleAnjaanJai kumarAshok RoyB K AdarshPutlibai at IMDB      Putlibai at YouTube     |    Putlibai at YouTube - 2    
Popular Links on HindiGeetMala
HindiGeetMala Search Panel - Songs & Films
  • Search Songs
    Type
  • Search Films
    Type