zindagi to hai bas makaam
jo tatola dhua hi dhua
kaise kahu kya iska naam
aagaz hai ya hai anjam
khol de apne dil ke jhrokhe
dil ki kya hai khata
uski dhak dhak dhadhkati si dhadkan
sune geet usme chhipa
raaho me dekh to
kitna gham hai pada
aankho se taul to
kiska gham hai bada
rango wala wo chashma utaar
mitli na re khushiya udhaar
kaise kahu kya iska naam
aagaz hai ya hai anjam
daudta hai kahan par diwane
dhundhta hai tu kya
mund kar apni palke tu sun to
kahti kya hai hawa
ye fiza, ye sama dekhle tu jara
apne khabo se, khwaisho se
kyu hai aise dara
ek jagah ka tu hai gulam
manzile bhi dhua hi dhua
kaise kahu ye apna payam
aagaz hai ya hai anjam
sapne tere jo tune the dekhe kabhi
pure honge wo tune tha socha kabhi
ha humafar ek tujhko milega kabhi
chhota sa aashiyana banaye kabhi
aankh khuli to, tu tha kahin bhi nahi
aisa ho jaye agar, tu na darna kabhi
ek khwab tuta agar jo yaha par
to duja milega kahin
agar saanse teri chalti rahi to
khwab milenge kai
zindagi to bas aisi shararat hai
khatti mithi kabhi
aansu bhi hontho par
namki lagte sabhi