kajal kajal teri ankho ka ye kajal
pagal pagal kar deta hai mujhe pagal
payal payal tere pairo ki ye payal
ghayal ghayal kar deti hai mujh ghayal
maine dil diya haye haye tera dil liya
haye haye kya bura kiya maine dil diya
tera dil liya kya bura kiya
kajal kajal meri ankho ka ye kajal
pagal pagal kar deta hai tujhe pagal
payal payal mere pairo ki ye payal
ghayal ghayal kar deti hai tujhe ghayal
maine dil diya haye haye tera dil liya
haye haye kya bura kiya haye maine dil diya
tera dil liya kya bura kiya
ankho me tere kala jo til hai
sadiyo purana mera vo dil hai
sabse juda hai teri adaye tujhpe fida hai ho meri vafaye
tere liye janam jan meri jaye
bukh bhi lage na nind bhi na aaye
tujhse ye puche mere nain sharmile
kis din honge gore hath mere pile
tune kuch kaha maine sun liya
maine sun liya ho maine chun liya haye haye apna piya
haye haye kya bura kiya haye
maine chun liya apna piya kya bura kiya
sine me mere bas tu hi tu hai
dhadkan hai dil ki tu meri ruh hai
tu mera dil hai mera jigar hai
tu samne hai ho tujhpe nazar hai
dhadke mera dil tere nam par
kahi dur le chal hath tham kar
ankhe mila ke tune mere dil ko jeeta
ankho me padh li maine preem ki geeta
pyar ka tofa tan man diya tan man diya
haye maine bun liya haye haye
sapna naya haye haye kya bura kiya haye
maine bun liya sapna naya kya bura kiya