kaliyo jaisa rang shagufta
phulo jaisi kaya hai
ninde ud gayi sab logo ki
jab se wo shehar mein aaya hai
kaliyo jaisa rang shagufta
uske chehre ki narmi se phul javani mange
uski roshan aankho se rate bhi kahani mange
chalane ka andaj hai wo mauje bhi rawani mange
sab ki aankho mein wo rangin sapna bankar chhaya hai
ninde ud gayi sab logo ki
jab se wo shehar mein aaya hai
kaliyo jaisa rang shagufta
logo ka to kam hai ye, sholo ko hawa dete hai
chhoti chhoti bato ka afsana bana dete hai
wo jis raste se bhi gujare, usko sada dete hai
wo ghar se kam hi nikale, ye hamne use samjhaya hai
ninde ud gayi sab logo ki
jab se wo shehar mein aaya hai
kaliyo jaisa rang shagufta
mere hatho mein hai jaise uske hatho ki khushbu
meri tanhayi mein jaise uski bato ki khushbu
mere shero mein hai jaise uski sanso ki khushbu
uske liye hai ghajale najame shair jisne banaya hai
ninde ud gayi sab logo ki
jab se wo shehar mein aaya hai
jab se wo shehar mein aaya hai
kaliyo jaisa rang shagufta, phulo jaisi kaya hai
ninde udd gayi sab logon ki
jab se wo shehar mein aaya hai
kaliyo jaisa rang shagufta