tera mera mandir kya hain, ye bhole insaan 
man ki ankh se dekh banware 
kan kan me bhagwan, kan kan me bhagwan 
kan kan me bhagwan
man ki ankh se dekh milega
kan kan me bhagwan, kan kan me bhagwan 
kan kan me bhagwan 
bund bund me lahar lahar me, patte patte me wo samaya 
rup rang me jal tarang me, ang ang me usi ki chhaya 
yaha waha wo kaha nahi hain, jaha taha wo kaha nahi hain 
pahachan sake to pahachan 
kan kan me bhagwan, kan kan me bhagwan 
chaandi ka to chhatr chadhaya, sone ka singhasan hain 
resham aur makhmal se uska, khub sajaya ashan hain
laddu aur pakwan khilate, hardam us jagbhrata ko 
tumne kya apane jaisa, bhukha samjha us data ko 
jo kuber ka bhare khajana 
jo kuber ka bahre khajana 
kan kan me bhagwan, kan kan me bhagwan 
ude dhan jab bhare khet me, darshan kare kisaan
ek ek daane me chamke, uski jyoti mahan 
ann hain uska isht devata 
ann hain uska isht devata, mandir hain khaliyan 
kan kan me bhagwan, kan kan me bhagwan 
use banane chala band kar, mandir me insaan 
chhua chhut ka bhut ban gaya, bana nahi bhagwan
ye uncha hain ye nicha hain, ye pandit ki bhasha
hari ko bhaje so hari ka hoi 
arj kare rah data, arj kare rah data  
arj kare rah data 
kan kan me bhagwan, kan kan me bhagwan
