kandeh dhanush baan dharan kar
pahne karm veer sa bana
karm chhetr me chala bhagirth
aaj vijay ka prn khaya
manushy hain wahi
manushy hain wahi, dharm ki rah jo chale
jo andhiyo ke biich, bedhadak chala chale
bedhadak chala chale
chale jo raaj dharm ke liye
nagar kutub tyag sakta, karm ke liye
jise ke moh maya, koi mod na sake
ki mrityu bhi vachan ko, jiske tod na sake
hain veer jo apne sukh ko vaar de
ho hanske jo vipattiya se khelta chale
jo andhiyo ke biich, bedhadak chala chale
bedhadak chala chale
idhar uthe charan ke chinh
uthe vasundhara
udhar bhale bikhar chale sindur mang ka
ye dosh karm ka, kisi ko jab rulaye re
vidhata ko bhi us pe, tab daya na aye re
to kyu na aasuo me, aag tu lagake chal
dagar me tu piya ke, kyu na deep banke chal
jivan hain to milan bhi, iska hoga hi kabhi
jo pyaar se samay ki, maar jhelta chale
jo andhiyo ke biich, bedhadak chala chale
bedhadak chala chale
baandhao ki gond me palti hain safalta
dukho ki ghatao me, sukh suhag chamkta
badhe huye charan ko, ab palat sakega kaun
aaj us pathik ke aage, tik sakega kaun
man ki aag se, vijay ka raag chhedta
jo thokaro se parvato ko thelana chale
jo andhiyo ke biich, bedhadak chala chale
bedhadak chala chale
manushy hain wahi, dharm ki rah jo chale
jo andhiyo ke biich, bedhadak chala chale
bedhadak chala chale
Singer Looks to be: Mohammad Rafi