Thumb Song Heading Singer Composer Lyricist Actor Film (Year) Category
thumb coming soon
4.50 - 10 votes
Ghazals
Video of this song from youtube
Lyrics of Kaun Kehta Hai - कौन कहता है
kaun kehta hai
kaun kehta hai
kaun kehta hai mohabbat ki zuban hoti hai
ye haqiqat to nigahon se bayan hoti hai

woh na aaye to satati hai khalish si dil ki
woh na aaye to satati hai khalish si dil ki
woh jo aaye to khalish aur jawan hoti hai
ye haqiqat to nigahon se bayan hoti hai
kaun kehta hai mohabbat ki zuban hoti hai

rooh ko shaad kare dil ko jo purnoor kare
dil ko jo purnoor purnoor purnoor
har nazarein mein yeh tanveer kahan hoti hain
ye haqiqat to nigahon se bayan hoti hai
kaun kehta hai mohabbat ki zuban hoti hai

sabt-e-saelaab-e-mohabbat ko kahan tak roke
sabt-e-saelaab-e-mohabbat ko kahan tak roke
dil mein jo baat ho aankho se ayaan hoti hain
ye haqiqat to nigahon se bayan hoti hai
kaun kehta hai mohabbat ki zuban hoti hai

zindagi ek sulgati si chita hai sahir
sulagti si chita, sulagti si chita
sulagti si chita
zindagi ek sulgati si chita hai sahir
shola banti hain na yeh bujh ke dhuaan hoti hain
ye haqiqat to nigahon se bayan hoti hai
kaun kehta hai mohabbat ki zuban hoti hai
Comments on song "Kaun Kehta Hai"
Vijay Pathak on Saturday, September 22, 2012
Rooh (Soul : Atma) ko jo shaad (Anandit : please) kare dil ko jo purnoor
(Enlighten) kare, har nazare (Scenery) mein yeh tanveer (Glow or Light)
kahan hoti hai!! Ummid hai yeh sher aap ko samajh mein aa gaya hoga :)
Deepak Kanar on Sunday, June 21, 2015
My sincere thanks to YOUTUBE for inserting these ghazals wow. My salute to
you, YOU TUBE, kYA BAAT HAI.
Devendra Shukla on Friday, May 09, 2014
"कौन कहता है मोहब्बत की जुबां होती है" जगजीतसिंह और चित्रासिंह की बेहतरीन
गजलों मेँ से एक है, दिल को गहराई तक छू जाती है 
Suchinder Chhabra on Saturday, January 05, 2013
zindagi ek sulagati si chita hai sahir shola banti hai na yeh bujh ke dhuan
hoti hai or life is in liquid oxygen neither you can live fully (due to
liquid) nor you can be dead (due to oxygen)...the marvelous gazal
sung by the great singers
Virendra Malhotra on Tuesday, March 26, 2013
Chitra ji, Its really a grea8 Gazal. I requested you kindly come on
stage again, For your listners & Jagjit ji's. You are Welcome again.
Please re-start...
Movie Film Cast Singer Lyricist Composer Director Producer
Live At Royal Albert Hall (Jagjit Singh) (1983)
Rahi Masoom Raza, Qateel Shifai, Saeed Rahi, Nazeer Banarasi, Kunwar Mohinder Singh Bedi Sahar, Sahir Hoshiarpuri, Qamar Jalalabadi, Inderjeet Hassanpuri, Traditional, Rana Akbarabadi, Sardar Anjum, IJagjit Singh
Popular Links on HindiGeetMala
HindiGeetMala Search Panel - Songs & Films
  • Search Songs
    Type
  • Search Films
    Type