Lyrics of Kaun Sunega Kis Ko Sunaye Iss Liye Chup Rahte Hai - कौन सुनेगा किस को सुनाये इसलिए चुप रेहते है
kaun sunega kis ko sunaye isliye chup rehte hai
kaun sunega kis ko sunaye
kaun sunega kis ko sunaye isliye chup rehte hai
hamse apne ruth na jaye
hamse apne ruth na jaye isliye chup rehte hai
meri surat dekhne walo mai bhi ek aayina tha
meri surat dekhne walo mai bhi ek aayina tha
tuta jab ye shisha ye dil sawan ka mahina tha
tukde dil ko kisko dikhaye
tukde dil ko kisko dikhaye isliye chup rehte hai
hamse apne ruth na jaye
hamse apne ruth na jaye isliye chup rehte hai
aaj khushi ki is mahfil me apna ji bhar aaya hai
aaj khushi ki is mahfil me apna ji bhar aaya hai
gum ki koi bat nahi hai hame khushi ne rulaya hai
aankh se aansu bah na jaye
aankh se aansu bah na jaye isliye chup rehte hai
hamse apne ruth na jaye
hamse apne ruth na jaye isliye chup rehte hai
pyar ke phul chune the hamne khushi ki sej sajane ko
pyar ke phul chune the hamne khushi ki sej sajane ko
patjhad ban kar aayi bahare ghar me aag lagane ko
aag me gum ki jal na jaye
aag me gum ki jal na jaye isliye chup rehte hai
kaun sunega kis ko sunaye
kaun sunega kis ko sunaye isliye chup rehte hai
isliye chup rehte hai, isliye chup rehte hai
If this movie was filmed in 1999 then singer Kishore kumar died within that
year. Vet confused.