khamoshiya aawaaz hai, tum sunne to aao kabhi
chhukar tumhe khil jayegi ghar inko bulaao kabhi
beqarar hai baat karne ko, kehne do inko zara
khamoshiya teri meri khamoshiya
khamoshiya lipti hui khamoshiya
kya uss gali me kabhi tera aana hua
jaha se zamaane ko guzre zamaana hua
mera samay toh wahi pe hai thehra hua
tumhe kya bataau mere sath kya kya hua
khamoshiya ek saaz hai, tum dhun koi laao zara
khamoshiya alfaaz hai, kabhi aa gunguna le zara
beqarar hai baat karne ko, kehne do inko zara
khamoshiyan teri meri khamoshiya
khamoshiyan lipti hui khamoshiya
nadiya ka paani bhi khamosh behta yaha
khili chandani me chhipi lakh khamoshiya
baarish ki boondo ki hoti kaha hai zubaan
sulagte dilo me hai khamosh uthta dhuaa
khamoshiya aakaash hai, tum udne toh aao zara
khamoshiya ehsaas hai, tumhe mehsoos hoti hai kya
beqarar hai baat karne ko, kehne do inko zara
khamoshiya teri meri khamoshiya
khamoshiya lipti hui khamoshiya
khamoshiya teri meri khamoshiya
khamoshiya lipti hui khamoshiya
khamoshiya teri meri khamoshiya
khamoshiya lipti hui khamoshiya khamoshiya