aahe khil gayi khil gayi rut jaani 
tarse baahe aa rani ha 
aisi saji hain aisi sanvri hain tu 
lagti bina saavan ki badri hain tu 
kitani hansi ho kitani java ho 
aai kaha se ho 
a ha kar diya tune to diwana 
chanchal dilbar aa jana o 
betab dil hain mera main kya karu 
din rat sulgu main to aahe bharu 
dehke re aag tarsaye pyaas
kah do ki mere ho 
ek baar dil se jo dil milega 
aur mera jajuk bada khilega 
pyar ka jo shola bhadak uthega 
ang ang mera fadak uthega 
kya jane ye aag kaisi lagi 
tum bhi jale main sulgne lagi 
aai bahaar chhalka ke pyar 
aanchal tera bhigo du 
aai hu yaar lekar khumaar 
main bhi nashe me chur hu
kitani hansi ho kitani java ho 
aai kaha se ho 
aa ha kar diya tune to divana 
tarse baahe aa rani ha
tu shahjada hain mere dil ka 
mujhpar ji bhar ke pyar chhalka 
kisko bharosa hain yaar kal ka 
luto maja aaj is pal ka 
lahrake fir aaj main jhum lu 
karta hain dil tujhko main chum lu 
chanda ho mere suraj ho mere 
tum pyar ki kiran ho 
aao jo paas mahke ye saans 
tumse mera milan ho 
dehke re aag tarsaye pyaas 
kah do ki mere ho 
aahe khil gayi khil gayi rut jaani 
chanchal dilbar aa jana o 
ho aisi saji hain aisi sanvri hain tu 
betab dil hain mera main kya karu 
kitani hansi ho kitani java ho 
aai kaha se ho 
aa ha kar diya tune to divana 
tarse baahe aa rani ha
