khud me basi hai khushiya
bahar kyu dhundhte hai
khud me basi hai khushiya
bahar kyu dhundhte hai
is sach se par na jaane
hum aankhe kyu mundte hai
khud me basi hai khushiya
barish me bhigna
aur chhatri hata ke chalna
barish me bhigna
aur chhatri hata ke chalna
footpath ke thelo se
jo man me aaye chakhna
chhodkar is daulat ko
na jane kis chahat me
band kar khidkiyo ko
caro me ghumte hai
khud me basi hai khushiya
gudiya ke baal ho
ya thanda barf ka gola
gudiya ke baal ho
ya thanda barf ka gola
mitti ke khilauno se
jo aabad raha jhola
bhulkar in sabko
kuch mehangi dukano pe
kimat ke taraju se
muskano ko taulte hai
khud me basi hai khushiya
bahar kyu dhundhte hai
is sach se par na jaane
hum aankhe kyu mundte hai
khud me basi hai khushiya
jo dikhti baate chhoti
khushi unki badi hai hoti
jo dikhti baate chhoti
khushi unki badi hai hoti
badi badi baato me aksar
masumiyat hai khoti
dost banke uske
ya phir banke koi khilauna
sang sath uske khele
ye baat bhulte hai
khud me basi hai khushiya
bahar kyu dhundhte hai
is sach se par na jaane
hum aankhe kyu mundte hai
khud me basi hai khushiya