dard sine me to aankho me samndar dekha
jindgi humne tera kaisa mukkadar dekha
khuda ke vaste mita do fasle
khuda ke vaste mita do fasle
hai manjil ek sabhi ki alag hai raste
hai manjil ek sabhi ki alag hai raste
khuda ke vaste mita do fasle
lage hai jo jahalo me nafrat ke taale
wo darwaje yaro jara khol do tum
lage hai jo jahalo me nafrat ke taale
wo darwaje yaro jara khol do tum
bujha kar dilo se tahasub ke sole
mohabbat fizao me bas ghol do tum
ho jo insaa to insaa ke kaam aao tum
zamane me naam apna kar jao tum
laga lo sab ko gale se ho chahe ajnabi
laga lo sab ko gale se ho chahe ajnabi
agar jinda rahna hai mar kar bhi tumko
to girte huo ko jara tham lo tum
agar jinda rahna hai mar kar bhi tumko
to girte huo ko jara tham lo tum
wo jinko zamane ne thukra diya hai
unhe fir se jeene ka paigam do tum
koi is jaha me na bebas rahe
kisi aankh se ab na aansu bahe
tumhi ko har chehre par sajana hai khushi
tumhi ko har chehre par sajana hai khushi
ye masum lashe, ye khamosh chikhe
yaha zindagi ka na koi nisha hai
ye masum lashe, ye khamosh chikhe
yaha zindagi ka na koi nisha hai
jaha tak nazar hai
duha hi duha hai
jara dhundo dekho ke insaa kaha hai
ye hum aa gaye aaj kis modh par
hai shaitan bhi hairan hume dekh kar
dilo se mita do yaro tum apni dusmani
dilo se mita do yaro tum apni dusmani
khuda ke vaste mita do fasle
khuda ke vaste mita do fasle
khuda ke vaste mita do fasle
khuda ke vaste mita do fasle
khuda ke vaste mita do fasle
khuda ke vaste mita do fasle