tukdo ki ye tasvir hai
tukdon me bhi lekin hasin tehrir hai
kehne ko yu keh lijiye
tewar bhari se badnuma ye zanjir hai
ye zindagi jua hai, kisko yakin hua hai
baziya na munasib kahi badh jaaye na
iktarfa safar ke, lab pe yehi dua hai
kahi na ganwara mod koi mud jaaye na
khuda na khasta, khuda na khasta
khudaya khair kare, khuda na khasta
ik haath me sau haath hai
aur dusre me ranjishe hai, jazbat hai
na jaane kyun iske liye
kohram me kuchh itminan si baat hai
ye zindagi dhua hai, kisne ise chhua hai
titliyo ki tarah shokh hai udd jaaye na
iktarfa safar ke, lab pe yehi dua hai
kahi na ganwara mod koi mud jaaye na
khuda na khasta, khuda na khasta
khudaya khair kare, khuda na khasta
o jine ko jo aashiyana biyaban hai
o palta ussi aashiyane me tufan hai
saiyaa saiyaa
itni silvate maazi me padi
jine ki wajah unse thi badi
o zaaya baat kyu shikwo me kare
adhuri hasrate dar pe hai khadi
o ye zindagi nasha hai taklif me maza hai
iski fitrat me hi jung hai chhid jaaye na
iktarfa safar ke, lab pe yahi dua hai
kahi na ganwara mod koi mud jaaye na
khuda na khasta, khuda na khasta
khudaya khair kare, khuda na khasta
khuda na khasta, khuda na khasta
khudaya khair kare, khuda na khasta
lovely lyrics