khumari chadh ke utar gayi zindagi yun hi gujar gayi

kabhi sote sote kabhi jaagte khwaabon ke pichhe yu hi bhaagte
apni toh saari umar gayi apni toh saari umar gayi

rangeen bahaaron ki khwaahish rahi haath magar kutch aaya nahi

kehne ko apne the saathi kai saath kisine nibhaya nahi
koi bhi hamsafar nahi koi bhi hamsafar nahi
kho gayi har dagar kahi
kabhi sote sote kabhi jaagte khwaabon ke pichhe yu hi bhaagte
apni toh saari umar gayi khumari chadh ke utar gayi
zindagi yun hi gujar gayi
logon ko aksar dekha hai ghar ke liye rote hue

ham toh magar beghar hi rahe
gharwalon ke hote hue gharwalon ke hote hue
aaya apna nazar nahi aaya apna nazar nahi
apni jahaa tak nazar gayi kabhi sote sote kabhi jaagte
khwaabon ke pichhe yu hi bhaagte
apni toh saari umar gayi apni toh saari umar gayi
khumari chadh ke utar gayi zindagi yun hi gujar gayi
pehle toh ham sun lete the shor mein bhi shehnaaiya

ab toh hamko lagti hai bheed mein bhi tanhaaiya
jeene ki hasrat kidhar gayi jeene ki hasrat kidhar gayi
dil ki kali bikhar gayi kabhi sote sote kabhi jaagte
khwaabon ke pichhe yu hi bhaagte
apni toh saari umar gayi apni toh saari umar gayi
khumari chadh ke utar gayi zindagi yun hi gujar gayi
wha aha .jagjeet singh you are above every other gazal or light singer as
far as you god given voice and the feelings with every word in the gazal ,
jio jio jagjeet singh