Thumb Song Heading Singer Composer Lyricist Actor Film (Year) Category
screen shot of song - Kisi Gul Ki Ye Kismat Hai Ke Vo Sehare Me Sajta Hai
4.40 - 10 votes
Qawwalis
Video of this song from youtube
Lyrics of Kisi Gul Ki Ye Kismat Hai Ke Vo Sehare Me Sajta Hai - किसी गुल की ये किस्मत है के वो सेहरे में सजता है
kisi gul ki ye kismat hai
ke vo sehre me sajta hai
kisi ko koi apne yar ki
turbat pe rakhata hai
ek se phool gulistan me khila karte hai
fir bhi har phool ki takdir juda hoti hai
fir bhi har phool ki takdir juda hoti hai
ek se chehre ek se chehre haye ek se chehre
yaha sabko mila karte hai
fir bhi har chehre ki tasver juda hoti hai
fir bhi har chehre ki tasver juda hoti hai

kafas me band hai koi to koi ashiyane me
to koi ashiyane me nahi dekha koi
azad humne is zamane me to hamne is zamane me
jise bhi humne dekha paresha hal dekha
garaj ke har jagah pe bicha ek jaal dekha
ek si kaid me sab log jiya karte hai
fir bhi har kaidi ki zanjeer juda hoti hai
ek se phool ek se phool gulistan me khila karte hai
fir bhi har phool ki takdir juda hoti hai
fir bhi har phool ki takdir juda hoti hai

yahi sab ki kahani hai yahi sab ka fasana hai
yahi sab ka fasana hai koi dolat ka hai ashiq
koi shohrat ka diwana hai koi shohrat ka diwana hai
ese hasrat hai koi use arman koi
tamannao se khali nahi insan koi
ek se khwab nigaho me basa karte hai
fir bhi har khwab ki tabir juda hoti hai
ek se phool ek se phool ek se phool
ek se phool gulistan me khila karte hai
fir bhi har phool ki takdir juda hoti hai
fir bhi har phool ki takdir juda hoti hai
fir bhi har phool ki takdir juda hoti hai
fir bhi har phool ki
lyrics of song Kisi Gul Ki Ye Kismat Hai Ke Vo Sehare Me Sajta Hai
Comments on song "Kisi Gul Ki Ye Kismat Hai Ke Vo Sehare Me Sajta Hai"
KJAAN on Sunday, August 02, 2009
Very nice qawwali and Rafi sahib is superb is usual. Thanks for upload.
Srinivasan Channiga on Monday, October 11, 2010
You are right Rakeshbakshiji. Lyrics are by Anand Bakshi.
Srinivasan Channiga on Monday, August 03, 2009
Thank you sahib for appreciating.
framosh71 on Thursday, July 28, 2011
great... v nice work..
Movie Film Cast Singer Lyricist Composer Director Producer External Links
Sanjog (1972)
Amitabh Bachchan, Mala Sinha, Aruna Irani, Johny Walker, Nasir Husain, Madan Puri, Keshto Mukherjee, Jagdish Raaj, Birbal, C S Dube, V Gopal, Ramesh Deo, Malika, Sulochana Chatterjee, Master Ratan, Chandrima Bhaduri, Indrani, Baby IndraKishore Kumar, Asha Bhosle, Lata Mangeshkar, Mohammed RafiAnand BakshiR D BurmanS S BalanS S BalanSanjog at IMDB      Sanjog at Wikipedia
Popular Links on HindiGeetMala
HindiGeetMala Search Panel - Songs & Films
  • Search Songs
    Type
  • Search Films
    Type