Video of this song from youtube
Lyrics of Kisne Dikhaya Tujhko Bata Bambai Ka Raasta - किसने दिखाया तुझको बता बम्बई का रास्ता
if you dont mind my dear friend
kabhi sach bat kahne me hichak mujhko nahi hoti
khuda ki kasam mujhko ram ki sogandh hai
by god paraya ho ke apna ho jhijhak mujhko nahi hoti
kisne dikhaya tha bata tujhe bambai ka rasta
do char din ki bat hai chal jayega tujhko pata
do char din ki bat hai chal jayega tujhko pata
ye bambai beta tujhe ye bambai beta tujhe
rakhegi ghar na ghat ka chal jayega tujhko pata

abhi pet me rotiya bhar ke hai abhi bat koi nhi dar ki hai
jara paw bhajiye ke din aaen de
ke papo ka mausam jara chane de
ke papo ka mausam jara chane de
ye pyari si surat ye pyari si surat utar jayegi
agar aayine pe najar jayegi na khud ko hi pahchan tu payega
bahut apni karni pe pachtayega
bahut apni karni pe pachtayega isi sharam me na laut ke
ghar tu na ja sakega kabhi umar bhar
kisne dikhaya tha bata tujhe bambai ka rasta
do char din ki bat hai chal jayega tujhko pata
ye bambai beta tujhe ye bambai beta tujhe
rakhegi ghar na ghat ka chal jayega tujhko pata

tere bistara gol ho ajyega ke akhbar sone ke kam aayega
milegi yaha ssej footpath ki sirhaan bane chappale panw ki
na diwar darwaja na diwar darwaja khidki yaha
hai apni haweli ki chhat aasma yaha jindagi utni rangi nahi
colour filmo me lagti itni hasi colour filmo me lagti itni hasi
yaha chalu hai jo wo hi chalta raha
jo chehre pe chehra badalta raha but you are very soft my boy
kisne dikhaya tha bata tujhe bambai ka rasta
do char din ki bat hai chal jayega tujhko pata
ye bambai beta tujhe ye bambai beta tujhe
rakhegi ghar na ghat ka chal jayega tujhko pata

galat taish me na kisi josh me uthaya hai maine kadam josh me
na bahka hua hu koi yar mai na bilmonia ka hu bimar mai
na ek rat me na ek rat me lahkpati hona hai
nahi pas aisa jo kuch khona hai
hai is mitti ka karz mujhpe koi
hai is nagri ka rista mujhse koi
ha ye do hath mehnat se thakte nahi
kisi gum se hum har sakte nahi
are wah kya bola really this is no jock my friend
dedo mujhe mauka jara tumse mera wada raha
do char din ki bat hai chal jayega sabko pata
bambai me charcha hoga chal
bambai me charcha hoga chal apne hi thath or bat ka
chal jayega sabko pata chal jayega sabko pata
chal jayega sabko pata chal jayega sabko pata
lyrics of song Kisne Dikhaya Tujhko Bata Bambai Ka Raasta
Movie Film Cast Singer Lyricist Composer Director Producer External LinksVideo Links
Jiyo To Aise Jiyo (1981)
Arun Govil, Debashree Roy, Jayashree Gadkar, Neelam Mehra, Vijay Arora, Ram Mohan, T P Jain, Goga KapoorBhupinder, Usha MangeshkarRam LakshmanKanak MishraTarachand BarjatyaJiyo To Aise Jiyo at IMDB      Jiyo To Aise Jiyo at YouTube    
Popular Links on HindiGeetMala
HindiGeetMala Search Panel - Songs & Films
  • Search Songs
    Type
  • Search Films
    Type