kisse punchhe koun bataye jo hota hai kyu hota hai
suraj mein kyun aag chhupi hai dharti kyun ghum rahi hai
badal kyun rota hai

koi ek pal mein kyun achha lagata hai
vo jo bhi kah de kyun sachha lagata hai
aisa koi kyun aata hai jhum ke ye dil kyun gata hai
koi nigahen kyun milti hai tan mein kaliyan kyun khilti hai
kyun hote hai pyar ke vade kyun hote hai aise irade
jinko hosho hosh ye dil khota hai
kisse punchhe koun bataye jo hota hai kyu hota hai
kal ki khushi ab kyun dil mein gam hi gam hai
ab aankho mein kyun aansu ka mousam hai
sare sapne tutate kyun hai
hanth hantho se chhutate kyun hai
aa jati hai kyun ye duri kyun hoti hai ye majburi
kyun miiti hai ye tanhai kyun leta hai gam angdai
kyun phir koi jagata na sota hai