kuch geet to duniya ki khatir
kuch geet to duniya ki khatir
sur taal me gaaye jaate hain
kuch geet to duniya ki khatir
sur taal me gaaye jaate hain
kuch geet magar tanhaai me
kuch geet magar tanhaai me
khud ko hi sunaye jaate hain
kuch geet to duniya ki khatir
mumkin nahi raahe ulfat me
har gam ka kare charcha jag se
mumkin nahi raahe ulfat me
har gam ka kare charcha jag se
kuch dard bataye jaate hain
kuch dard bataye jaate hain
kuch dard chhupaye jaate hain
kuch geet to duniya ki khatir
sur taal me gaaye jaate hain
kuch geet to duniya ki khatir
is raah e wafa me e hum dam
ek aisa makam bhi aata hai
is raah e wafa me e hum dam
ek aisa makam bhi aata hai
hans hans ke kiya ho yaad jinhe
hans hans ke kiya ho yaad jinhe
ro ro ke bhulaye jaate hain
kuch geet to duniya ki khatir
sur taal me gaaye jaate hain
kuch geet to duniya ki khatir
hum bhul chuke jin baato ko
jin rishto ko jin naato ko
hum bhul chuke jin baato ko
jin rishto ko jin naato ko
kyon zikr unhi ka kar kar ke
kyon zikr unhi ka kar kar ke
yun log sataye jaate hain
kuch geet to duniya ki khatir
sur taal me gaaye jaate hain
kuch geet magar tanhaai me
kuch geet magar tanhaai me
khud ko hi sunaye jaate hain
kuch geet to duniya ki khatir
kuch geet to duniya ki khatir
kuch geet to duniya ki khatir