kya bataye kitni hasrat
dil ke afsane me hai
subah gulshan me huyi
aur sham virane me hai
sham virane me hai
aur sham virane me hai
sham virane me hai
haye wo aagaz-e-ulfat me khushi ikraar ki
haye wo kis kis bahane koshishe didar ki
chhup ke duniya ki nigaho se wo baate pyar ki
ab na jane raaz kya milkar bichhad jane me hai
milkar bichhad jane me hai
milkar bichhad jane me hai
sham virane me hai
kya mujhe apna banaya tha mitane ke liye
kya khabar thi jaoge ja kar na aane ke liye
jal uthi hai aag ghum ki dil jalane ke liye
dil lagane ka maja ab ghut ke mar jane me hai
ab ghut ke mar jane me hai
ab ghut ke mar jane me hai
sham virane me hai
kuch samjh me hi nahi aata ke ab jau kidhar
thokre khana hi kismat me likha hai darbadar
mere mitne ki shakil unko na ho parwah magar
unka afsana bhi shamil mere afsane me hai
ab mere afsane me hai
ab mere afsane me hai
sham virane me hai
Great choice. One of Zohrabai Ji's golden marvels. She is somewhere away
from all other talents. A great genius with a huge range and lovely,
powerful voice. May her dear soul rest in peace, we can never forget her.
This song was probably sung for Sofia Ji, mostly side actress.