kya hua, kuch bhi nahin
kya hoga, kuch bhi to nahin
kya ho sakta hai
pyare, hona kya hai
kuch na kuch hota hi rehta hai
par yaad rakh tu jo chahta hai
wo nahi hona
khud ho nahi sakta
karna padta hain
kya hai taqdeer, ek zanzeer
kya hai taqdeer, ek zanzeer
kismat kya hai, ek dhoka hai
kismat kya hai, ek dhoka hai
phir insaan kare kyaa
taqdeer ke hathon mein
zanzeere phaila do
kismat ke taaron ko aaina dikhla do
hathon ki lakire aur jadu tona
sab hai dhoka
sab hai khwabo ki dhul, khwabo ki dhul
tu apne raste se na hat
chal khwab ka pichha chhod
palat
phir jo chahe kar jayega
warna ghutke mar jayega
is mitti me wo sab kuch hai
jo sona, heere, chandi de
tu dur na jaa, tu dur na jaa
mud waapis aa, mud waapis aa
mayus na ho, chal chal aage
tu jaage to duniya jaage
pyaare, agar kuch pana hai tujhe to
kashtiya bhi jala de, kashtiya bhi jala de
kashtiya bhi jala de
phir tu jo chahega ho jayega
gam ka suraj thak kar so jayega
ye magar kuch bhi khud ho nahin sakta
ye magar kuch bhi khud ho nahin sakta
karna padta hai
jeene ke liye, marna padta hai
haq ki khatir to ladna padta hai
jeene ke liye, marna padta hai
haq ki khatir to ladna padta hai
ladna padta hai, ladna padta hai