kya khabar thi is tarah se, wo juda ho jayega

khwaab mein bhi uska milna, khwaab sa ho jayega

zindagi ki qaid-e-gham se, kya nikaloge use

maut jab aa jaayegi to khud riha ho jayega
kya khabar thi is tarah se, wo juda ho jayega
khwaab mein bhi uska milna, khwaab sa ho jayega
dost bankar usko chaha, ye kabhi socha na tha

dosti hi dosti mein, wo khuda ho jayega
kya khabar thi is tarah se, wo juda ho jayega
uska jalwa hoga kya, jiska ke parda noor hai

jo bhi usko dekh lega, wo fida ho jayega
kya khabar thi is tarah se, wo juda ho jayega
khwaab mein bhi uska milna, khwaab sa ho jayega
kya khabar thi is tarah se, wo juda ho jayega
Zindagee-ki kaid-e-ghum-se kya nikaloge usey,
Maut jab aa jayegee-to khood rihaa ho jaegaa..
Dost bankar usko chahaa, ye kabhee sochaa naa thaa,
Dosti hi dosti mein, voh khudaa ho jaegaa.
Uska jalvaa hogaa kya jiska ke pardah noor hay,
Jo bhee usko dekh legaa, voh fidah ho jaegaa.
Kya khabar thee ees tarah-se voh judaa ho jaegaa,
Khwaab-mein bhee usakaa milnaa, khwaab-sa ho jaegaa...
There can not be more painful words to describe what one goes thru after
loosing a loved one..What a heart wrenching ghazal...