Lyrics of Kya Sach Hai Kya Jhooth Hai Jiwan Ki Kise Pahchan - क्या सच है क्या झूठ है जीवन की किसे पहचान
kya sach hai kya jhuth hai kya sach hai kya jhuth hai
jiwan ki kise pahchan samjha hai kisne ise aaj tak
kiske hatho me hai ye kaman kya sach hai kya jhuth hai
jaise rat ke andar koi angara rah jata hai jalne ke liye
mom samarpan me bhi to
vidroh panapta rahta hai mitne ke liye
jani kisne peed parayi khilne se pahle murjhai
adhro ki muskan samjha hai kisne ise aaj tak
kiske hatho me hai ye kaman kya sach hai kya jhuth hai
jiwan ki kise pahchan samjha hai kisne ise aaj tak
kiske hatho me hai ye kaman kya sach hai kya jhuth hai
jina bas ki bat nahi hai marne ka adhikar nahi chalna hai badi
sanso par pahra baitha hai jine me bhi sar nahi tuti hai kadi
jhuthe rishte nate sare apne hi sapno se hare uljhan me hai pran
samjha hai kisne ise aaj tak kiske hatho me hai ye kaman
kya sach hai kya jhuth hai jiwan ki kise pahchan
samjha hai kisne ise aaj tak kiske hatho me hai ye kaman
kya sach hai kya jhuth hai
jiwan hai ek lakshman rekha
jisne na isko dekha girta hi gaya
kashturi marig ki tarah bhagta wo jungle jungle gira hi gaya
puri na hoti hai chahi kitni anjani hai rahe
manjil hai anjan samjha hai kisne ise aaj tak
kiske hatho me hai ye kaman kya sach hai kya jhuth hai
kya sach hai kya jhuth hai kya sach hai kya jhuth hai
When I first heard this song - I heard the verses - I thought it was a
Mukesh song! I did not realize it was my "Bhagvaan" Shri Jagjit Singh.