Thumb Song Heading Singer Composer Lyricist Actor Film (Year) Category
screen shot of song - Kyun Na, Jaisa Hain Jo
4.50 - 4 votes
Rock Songs
Video of this song from youtube
Lyrics of Kyun Na, Jaisa Hain Jo - जैसा है जो तुम वैसे ही उसको रहने दो
jaisa hai jo tum vaisa hi usko rehne do
kehta hai jo tum vaisa hi usko kehne do
chhodo ye chinta auron ki kyun tum apni karo
khud ko to dekho khud ko tattolo tum kaun ho
kyun na nazron ka hum badal dein nazaria
kyun na sookhey pattey me bhi dekhein hum mor ka pankh
ye hi zaroori zaroori zaroori hai
kyun na apni oongli ko khud pe ghoomaein
kyun na andhi hai aadat to rasta dikhaein
kyun na ye hi zaroori zaroori zaroori hai

kamiya to hoti hai insaano me to ginti hoti varna bhagwano me
kya tujhko naam likhwana hai shaitano mien
sudharja abhi ched hua nahi hai naov me
jaisa hai jo tum vaisa hi usko rehne do
kehta hai jo tum vaisa hi usko kehne do
chhodo ye chinta auron ki kyun tum apni karo
khud ko to dekho khud ko tattolo tum kaun ho
kyun na nazron ka hum badal dein nazaria
kyun na sookhey pattey me bhi dekhein hum mor ka pankh
ye hi zaroori zaroori zaroori hai
kyun na apni oongli ko khud pe ghoomaein
kyun na andhi hai aadat to rasta dikhaein
kyun na ye hi zaroori zaroori zaroori hai

bura bhala jo bhi huva vo sab bhool ja
kar de dafan khudko hi tu phirse zinda hoja
janamdin ab mana tu aaj insaan bana
har koi ye karey jashn yuhi chalta rahe
phir bhala marne se koi kyun dare
kyun na nazron ka hum badal dein nazaria
kyun na sookhey pattey me bhi dekhein hum mor ka pankh
kyun na apni oongli ko khud pe ghoomaein
kyun na andhi hai aadat to rasta dikhaein
kyun na ye hi zaroori zaroori zaroori hai
lyrics of song Kyun Na, Jaisa Hain Jo
Comments on song "Kyun Na, Jaisa Hain Jo"
Hardiq Dave on Friday, September 27, 2013
Yaa.. The lyrics i like.. Indian coke studio has this depth that here every
musician sings those lyrics which has depth of spirituality, depth of
realism and life... Kyu badale ham nazar ka nazariya aur andhi hai aadat to
radtaa dikhaaye !!!... :) jine ki shuruaat shayad samajdari se hoti hai...
Pehle to pataa hi nahi hota ki kya jiwan hai .. Aur jab vision milta hai to
us raaste pe chalne se ghabharahatt hoti hai.. Aadaatein bich aati hai.. :)
bhavesh soni on Sunday, September 22, 2013
Jaisa hai jo, tum vaisa hi usko, rehne do. Kehta hai jo, tum vaisa hi usko,
kehne do. Chhodo ye chinta, auron ki kyun ? tum apni karo ? Khud ko toh
dekho, Khud ko tattolo, tum kaun ho ? Kyun na ? Nazron ka hum badal dein
nazaria. Kyun na ? Sookhey pattey mein bhi dekhein, Hum mor ka pankh. Ye hi
zaroori, zaroori, zaroori hai.
raajeev shah on Monday, September 30, 2013
Lyrics are just mind blowing, awesome and out of the box. Each line convey
the meaning and overall your way of telling the message is very unique. Its
really an epic song no doubt. Music of amit trivedi is running like blood
in veins. Good combiation.
Pramod Pankajakshan on Saturday, October 05, 2013
Wowed by the arrangement. Pure creativity and musical blend of inner
talent. Thanks to coke studio for giving these musician a platform to
record together in the age of protools and neundo.
shraddha shraddha on Sunday, September 22, 2013
An Epic song with awsome composition and lyrics... Amit trivedi,ozil and
all the singers just rock...: i feel like listng the song again nd
again,evrytime i get goosebumps:-)
Movie Film Cast Singer Lyricist Composer Director Producer External Links
Coke Studio 3 - Episode 6 (2013)
Tochi Raina, Jaggi, Tanvi Shah, Amit Trivedi, Kavita Seth, Kutle Khan, Karthik, Shalmali Kholgade, Dhruv Sangari, Chandana BalaShellee, Kausar Munir, Swanand Kirkire, Jaggi, Ozil Dalal, Anusha ManiAmit TrivediCoke Studio 3 - Episode 6 at Wikipedia
Popular Links on HindiGeetMala
HindiGeetMala Search Panel - Songs & Films
  • Search Songs
    Type
  • Search Films
    Type