Lyrics of Lakho Rango Se Rangana Hai Apna Hindustan - लाखो रंगों से रंगना है अपना हिन्दुस्तान
lakho rango se rangna hai apna hidustan
lakho rango se rangna hai apna hidustan
ho jiski god me ganga jamuna
laga rahi hai taan
lakho rango se rangna hai apna hidustan
lakho rango
apne sar pe saji himalay ki ye unchi choti
dudh ka jharna banke bahti dhare choti choti
inki nadiyo ke pani se inki nadiyo ke pani se
bhari anaj ki kothi iski pooja karle
jisse milti sabko roti gautam gandhi
gautam gandhi ka hum sabne paya hai wardan
lakho rango se rangna hai apna hidustan
lakho rango
khet khet ki pagdandi par aati hai dulhaniya
pal chin hil mil geet desh ka gati ye sajaniyan
yaha ki dharti moti deti
yaha ki dharti moti deti
sone ki ye galiya gaw ki gori chori hai ye
apne chaman ki kaliya mehnat inki
mehnat inki dekh ke sari ye dunia hairan
lakho rango se rangna hai apna hidustan
lakho rango
sahar se mera yar aaya hai leke tractor sath
sara sahar dekhna aaya lohe ki saugat
hal chalawe bij bhi dale
hal chalawe bij bhi dale kaam kare din rat
sabki mushkil dur howegi
abke banegi baat yahi akal ka
yahi akal ka kaam kiya hai sacha tu hi kisan
lakho rango se rangna hai apna hidustan
lakho rango se rangna hai apna hidustan
ho jiski god me ganga jamuna
laga rahi hai taan
lakho rango se rangna hai apna hidustan
lakho rango
tyou have dubbed the song from do sholay on the film do sher