le le beti tu babul ke dil ki dua
phool hi phool ho
teri angnaai re
le le beti tu babul ke dil ki dua
phool hi phool ho
teri angnaai re
teri aankhon mein
ye ganga jamuna hai kyun
swarg si tune sasuraal hai paayi re
le le beti tu babul ke dil ki dua
phool hi phool ho
teri angnaai re
ab toh sasuraal hi tera ghar hain
tera maike se vaasta na rahe
itna pyar aur khushi mile tujhko
pichhe mudne ka raasta na rahe
apni sasuraal ki khushi ke liye
hum sabko jaan bhale hi paraye re
le le beti tu babul ke dil ki dua
phool hi phool ho
teri angnaai re
tere hatho me chand suraj ho
haar pahnegi sitaaro ke
gham ka saaya tu na dekhe kabhi
paaye jhonke sada bahaaro ke
vo tere tu unki ban jana
naye jivan ki ho badhai re
le le beti tu babul ke dil ki dua
phool hi phool ho
teri angnaai re
kaise maa banke maine paala tha
tujhko vo pal naa yaad aayenge
saas jethani pati meri gudiya
naaz itne tere utheyenge
yahi aashirwaad hai mera meri jaan
yahi punji sada bachaai re
le le beti tu babul ke dil ki dua
phool hi phool ho
teri angnaai re
teri aankhon mein
ye ganga jamuna hai kyun
swarg si tune sasuraal hai paayi re
le le beti tu babul ke dil ki dua
phool hi phool ho
teri angnaai re
ye ganga jamuna hai kyun
swarg si tune sasuraal hai paayi re