Lyrics of Log Har Mode Pe Ruk Ruk Ke Sambhalte Kyo Hai - लोग हर मोड़ पे रुक रुक के संभलते क्यों हैं
log har mod pe ruk ruk ke sambhalte kyu hain

itna darte hain to phir ghar se nikalte kyu hain

main na jugnu hu diya hu na koi tara hu
main na jugnu hu diya hu na koi tara hu
roshni wale mere naam se jalte kyu hain
log har mod pe ruk ruk ke sambhalte kyu hain
neend se mera taluq hi nahi barso se
neend se mera taluq hi nahi barso se
khawab aa aa ke meri chhat pe tehlte kyu hain
log har mod pe ruk ruk ke sambhalte kyu hain
mod hota hai jawani ka sambhalne ke liye

aur sab log yahin aake fisalte kyu hai
log har mod pe ruk ruk ke sambhalte kyu hain
log har mod pe ruk ruk ke sambhalte kyu hain
itna darte hain to phir ghar se nikalte kyu hain
log har mod pe ruk ruk ke sambhalte kyu hain
One of the best track i v ever listened... And Jagjit Singh is there
anything more than that... What a lyrics!