lori suna fir se, mujhe neend nahi aati hai
bada hua hu magar, bachpan kahi baaki hai
lori suna fir se, mujhe neend nahi aati hai
bada hua hu magar, bachpan kahi baaki hai
jo sukoon milta tere aanchal me, na kahi milta duniya me
kaash so jaaun sote hi reh jaun, hai thakan kitni akhiyo me
duniya to kitna sataati hai maa
wo baarish me gum ki bhigaati hai maa
tu to khud bheeg jaaye sukhe me sulati hai
lori suna fir se, mujhe neend nahi aati hai
tere aanchal me, duniya mil jaati hai
dard dil ke kyu, apne chhupati hai
tu chhupa mujhko aanchal me
haal hafto se puchha nahi tera
dekh kitna hu pagal main
kyu zakham kisi ko dikhaye nahi
kyu ye kisi ko bataye nahi
ke tu sabko khila bin khaye so jaati hai
lori suna fir se, mujhe neend nahi aati hai
tere aanchal me, duniya mil jaati hai
chaar din ki kyu ye zindgani hai
mujhko shikayat ye khuda se hai
ek maati ke putle hum sare hai
kuch paas rehte kuch juda se hai
chup-chap gaye wo bataya nahi
par tu jaye to humse chhupana nahi
maa tu bin bataye aksar chali jaati hai
lori suna fir se, mujhe neend nahi aati hai
tere aanchal me, duniya mil jaati hai