ramta jogi bahta pani ma ki kahe kahani
ma ka naam sada rahta hai baki sab kuch pani
ma hi mandir ma hi puja
ma hi mandir ma hi puja
ma se badhh ke koi na duja
ma hi mandir ma hi puja
ma hi mandir ma hi puja
ma se badhh ke koi na duja
ma hi mandir
ma ke puny se jagat bana hai
ishvar ko bhi ma ne jana hai
ma mamta ka ek kalash hai
jivan jot hai amrit ras hai
kya amber aur kya hai dharti
ma ki tulna ho nahi sakti yug aate hai yug jaate hai
ma ki gatha dohrate hai ma ki gatha dohrate hai
bade bade gyani kahte hai ma ka rutba sabse uncha
ma hi mandir ma hi puja ma hi mandir ma hi puja
ma se badh ke koi na duja ma hi mandir
mitti ho gai ma ki kaya bhatak raha hai fir vo saya
kadi dhup mei soch rahi hai laal pe apne kar du chaya
shul bani hai ma ki vivashta vyakul hai sujhe na rasta
shul bani hai ma ki vivashta vyakul hai sujhe na rasta
vyakul hai sujhe na rasta saral bada hai kahna sunana
kathin bada ye hai ma banana ma hi mandir ma hi puja
ma hi mandir ma hi puja ma se badh ke koi na duja
ma hi mandir
janaam janaam ki ma ki dukhiyari
kar ke har koshish ye hari
bhai bawari uljh gai hai
bachche ka sukh dhundh rahi hai
bhukh se munna tadap raha hai
man ka dheeraj tut gya hai
aanchal mei hai dudh ki nadiya
our aankho mei neer bhara hai
our aankho mei neer bhara hai
sabko sahara dene wali
koun bane ab tera sahara
koun bane ab tera sahara
Lyrics bhi bahut khoobsurat,,,Aur Mohammed Aziz ne kya kamaal gaya hai ye
gana,,kitni zabardast feelings ke sath gaya aur Music bhi uff great..Jiyo
Mohammed Aziz Saheb aapki awaaz ko bahut miss karta hu.Rafi saheb ke
baad tough songs ko itni asaani se gaane wale shaks ka hi naam Hai Mohammed
Aziz..