daasta mere laad pyar ki
ek hasti ke gird ghumti hai
pyar jannat se is liye hai mujhe
ye meri maa ke kadam chumti hai
tu hai jisne mujhe chalna sikhaya
gir ke uthna, uthke sambhalna sikhaya
kabhi lori banke, ho kabhi thapki banke
kabhi neend meethi si, kabhi sapne jaisi
teri god mein aankhein khuli o maa meri
sabse pyari duniya mein hai maa meri
meri har khushi se muskaan teri
main sukun tera main jaan teri
kabhi daant banke, kabhi dulaar banke
kabhi bijli jaisi, kabhi badli jaisi
pyaar ki bauchaar si maa meri
sabse pyari duniya mein hai maa meri
khwaab bankar kabhi tabeer bankar
mere sapno ko sawarti hai maa meri
zindagi ki dhup mein aur aandhiyo mein
saya bankar sath rahti maa meri
khamosh rahkar, kabhi awaaz bankar
ehsaas si kabhi, vishwaas si
thame huye hai ghar ki chhat ko maa meri
sabse pyari duniya mein hai maa meri
maa meri, maa meri
maa meri, meri maa
maa meri, maa meri
maa meri pyari maa
I m so lucky to be apart of this soulful creation . Thanks to Vasuda Sharma
to give me this opportunity. She gave me space to create my way of music
into her composition. Thanks to Anusha Jimmy Neeti Sangeet ...U r all
awesome