madhuban me jo kanhaiya kisi gopi se mile
kabhi muskaye, kabhi chhede, kabhi baat kare
radha kaise na jale, radha kaise na jale
aag tan man me lage, radha kaise na jale
radha kaise na jale
madhuban me bhale kanha kisi gopi se mile
man me toh radha ke hi prem ke hain phul khile
kis liye radha jale, kis liye radha jale
bina soche samjhe, kis liye radha jale
kis liye radha jale
o gopiya tare hain, chand hai radha
phir kyun hai usko biswas aadha
o gopiya tare hain, chand hai radha
phir kyun hai usko biswas aadha
kanhaji ka jo sada idhar udhar dhyan rahe
radha bechari ko phir apne pe kya maan rahe
gopiya aani jani hain, radha toh man ki rani hai
gopiya aani jani hain, radha toh man ki rani hai
sanjh sakhare jamna kinare, radha radha hi kanha pukare
oye hoye oye hoye
baaho ke har jo dale koi kanha ke gale
radha kaise na jale, radha kaise na jale
aag tan man me lage, radha kaise na jale
radha kaise na jale
man me hai radhe ko kanha jo basaye
toh kanha kaahe ko use na bataye
prem ki apni alag boli, alag bhasa hai
baat naino se ho kanha ki yahi aasa hai
kanha ke ye jo naina hain, chhine gopiyo ke chaina hain
kanha ke ye jo naina hain, chhine gopiyo ke chaina hain
mili najariya hui bawariya, gori gori si koi gujariya
kanha ka pyar kisi gopi ke man me jo pale
kis liye radha jale, radha jale, radha jale
radha kaise na jale, kis liye radha jale
radha kaise na jale, kis liye radha jale
kis liye radha jale
radha kaise na jale, kis liye radha jale
kis liye radha jale
radha kaise na jale, radha kaise na jale
radha kaise na jale
lyrics typed by : ruchita parab

Can anyone help me with the following:
Mera dil todne wale, mere dil ki dua lena, meeta ker meri duniya ko nayi duniya basa lena
Nahi aata waffao se hame daaman chooda lena..
tumhi per jaan de denge kisi din aazma lena.
shamshad begum I am 99% sure sings:
Muhobat naam hai gaam ka, khusi se gham utha lena
Hamari yaad jab aye to do ansoo baha lena
Thnx