main gaon ki bholi naar
main gaon ki bholi naar
ye mati mera rup singaar
piya mere shahri ho gaye
main gaon ki bholi naar
ye mati mera rup singaar
piya mere shahri ho gaye
sakhi wo angreji bole
sakhi wo angreji bole
main thahri anpad aur gawar
piya mere shahri ho gaye
main gaon ki bholi naar
na jane unhe hua kya hain
na jane unhe hua kya hain
wo jab kalkate se aaye
nahi karte sidhe muh baat
main kahna chahun ji ka haal
main kahna chahun ji ka haal
wo padhte rahte hain akhbar
piya mere shahri ho gaye
main gaon ki bholi naar
na kachchi mitti bhali lage
na faili faili angnai
na kachchi mitti bhali lage
na faili faili angnai
mashari maange sone ko
buri lagti hain charpai
na bajre ki roti man bhaye
na bajre ki roti man bhaye
na ghar ka amras aur aachar
piya mere shahri ho gaye
main gaon ki bholi naar
sakhi kuch sochte rahte hain
sakhi kuch sochte rahte hain
wo sari raat nahi sote
main unke pas to hoti hun
wo mere pas nahi hote
jo prvat ho to paar karu
jo prvat ho to paar karu
ye duri kaise karu main paar
piya mere shahri ho gaye
main gaon ki bholi naar
main bhukhi pyasi rah leti
main bhukhi pyasi rah leti
naa leti aur kapda aur latta
sakhi jo ye sab janti main
na jane deti kalkata
jinhe barso mein jeet saki
jinhe barso mein jeet saki
gayi do din mein unko haar
main gaon ki bholi naar
ye mati mera rup singaar
piya mere shahri ho gaye
sakhi wo angreji bole
sakhi wo angreji bole
main thahri anpad aur gawar
piya mere shahri ho gaye
main gaon ki bholi naar