ek to chaand gagan me chamke do more gaal gulabiya me
chaar chaand mori bindiya me chamke
lakho chaand more ghunghta me
mai mastani diljani kuch payal mhari bole
chham chham payal mhari bole
mai mastani diljani kuch payal mhari bole
jisne maa ko dudh piya ho ghunghto mharo khole
ghunghto mharo khole usi ke sang chalungi
usi ke rang rangungi fir jo hona hai so hole hole
arey mai mastani diljani kuch payal mhari bole bole
ye meri nathaniya diwano ka dil hai diwano ka dil
ye meri nathaniya diwano ka dil ye kaatil bada
mere chehre ka til ha ha chehre ka til
sabhi chokhri is bindiya se parkhe aaj nagina
kehkar itar itarwalo ne becha mera pasina
mere jaisi chandramukhi mere jaisi chandramukhi
jo tan man dhan se tole
ghunghto mharo khole usi ke sang chalungi
usi ke rang rangungi fir jo hona hai so hole hole
arey mai mastani diljani kuch payal mhari bole bole
chham chham payal mhari bole bole
hai meri nazakat ke charche niraale ha charche nirale
hai meri nazakat ke charche niraale
chalu chandni me to padte hai chhale ha padte hai chhale
jo koi mere nakhre sehle or jhula bhi jhule
kanchan kaya usko dungi saat janam na bhule
jo shole ko shabnam karde jo shole ko shabnam karde
shabnam karde shole ghunghto mharo khole
usi ke sang chalungi usi ke rang rangungi
fir jo hona hai so hole hole
arey mai mastani diljani kuch payal mhari bole bole
chham chham payal mhari bole
jisne maa ko dudh piya ho ghunghto mharo khole
ghunghto mharo khole usi ke sang chalungi
usi ke rang rangungi fir jo hona hai so hole hole
Хема Малини просто супер ! Люблю ее! И актриса и танцовщица огромный талант
и очень красивая женьщина !