mai nahi mohtaj tere daan ka khairat ka
mai nahi mohtaj tere daan ka khairat ka
dhyan rakhna e mere bande sada is baat ka
mai nahi mohtaj tere daan ka khairat ka
han kisi ke samne main hath failata nahi
mangte hain mujhse sab main mangne jata nahi
aadmi ki soch se bhi hai jada mere paas
tu to andaza nahi kar sakta hargiz kamsana
main hi rakhta hu khyaal inshan ke haalat ka
mai nahi mohtaj tere daan ka khairat ka
naam par mere kiya karta hai ye jo daan tu
mujhko kuch bhi to nahi uski jarurat man tu
daan aur khairat se hota nahi kam tera maal
aur badhi hai teri daulat nahi aata sawal
main sila dunga tujhe auro pe ahsanat ka
mai nahi mohtaj tere daan ka khairat ka
tu agar dani hai isme hi hai tera bhala
e mere bande tera hi fayda hai mera kya
tu sada khairat karta ja nawaz dunga tujhe
hai bada mera khajana aur bhi dunga tujhe
kadr karta hu bahut main khair ke jajbaat ka
mai nahi mohtaj tere daan ka khairat ka
mai nahi mohtaj tere daan ka khairat ka