wo meri jashoda maiya uska main govinda 
wo meri jashoda maiya uska main govinda 
maa hai jab tak jag mein tab tak 
maa hai jab tak jag mein tab tak 
mamta ki mishal hai jinda 
wo meri jashoda maiya uska main govinda 
ek mehbuba ne dilbar se 
uski maa ka dil mangwaya 
wo ishq mein andha dauda dauda 
apni maa ke paas aaya 
usne sine par maa ke waar kiya 
khanjar sine ke paar kiya 
jakhmi dil lekar bhag chala 
thokar khayi dharti pe gira 
tab maa ke dil se aayi sada 
tujhe chot kahi aayi to nahi 
tujhe chot kahi aayi to nahi 
dhire chalna aayinda 
wo meri jashoda maiya uska main govinda 
ek sachhi maa ek jhuthi maa 
ek bachhe ka jhgda lekar 
insaaf mangne ki khatir 
ja pahuchi hakim ke dar par 
ek boli mera bachha hai 
ek boli mera bachha hai 
hakim sunkar hairan huaa
aakhir ye kiska bachha hai 
hakim ne baat par gaur kiya 
aur jallado ko hukum diya 
sar ko tan se nyara kar do 
bachhe ka batwaara kar do 
tab sachhi maa boli thehro 
aesa na karo aesa na karo 
maine apna hak chhod diya 
maine apna hak chhod diya 
par laal rahe mera jinda 
wo meri jashoda maiya uska main govinda 
wo meri jashoda maiya uska main govinda 
maa hai jab tak jag mein tab tak 
maa hai jab tak jag mein tab tak 
mamta ki mishal hai jinda 
wo meri jashoda maiya uska main govinda 
