sathiyo sathiyo aakhiri baar
kya keh raha hun suno ho sake to suno
maine apne garm lahu se waqt ke barfeele kaghaz pe
ik paigham likha hai jinke naam likha hai
un tak pahucha dena un tak pahucha dena
mere man ki baat unhe tum batla dena
maine apne garm lahu se waqt ke barfeele kaghaz pe
ik paigham likha hai ik paigham likha hai
meri maa se tum ye kehna bachpan me mujhse tune kaha tha
dharti maa bhi maa hoti hai maine aaj is dharti maa ki laaj rakhi hai
mat ro maa tu kyun roti hai kyun roti hai kyun roti hai
maine apne garm lahu se waqt ke barfeele kaghaz pe
ik paigham likha hai ik paigham likha hai
mere baba se tum kehna bachpan me mujhse tumne kaha tha
aisa kuch mat karna ki mai sharminda hun
tumne kaha tha itihas humse kehta hai
jo hai bahadur marke bhi zinda rehta hai
baat tumhari maan li maine apne watan pe jaan di maine
dekho baba aaj mai marke bhi zinda hun
sau karod insano ke ehsas me mai zinda hun
hindostan ke man me base vishwas me mai zinda hun
naujawan chehron me mai hun
sarhad par pehron me mai hun
tum mera koi gham na karna
apni palkon ko nam na karna
apna gaurav kam na karna
apna gaurav kam na karna
mai zinda hun mai zinda hun