main apni zindagi bhi tujh pe jo lutaunga
main apni zindagi bhi tujh pe jo lutaunga
tere ehsaano ka badla chuka na paaunga
main apni zindagi bhi tujh pe jo lutaunga
tere ehsaano ka badla chuka na paaunga
adhure khaab ke jaisi thi harkhushi apni
dhali thi ashqo ke rang mein har hasi apni
kise sunate bhala jaake bebasi apni
main teri pooja mein jo umar bhi beetaunga
main teri pooja mein jo umar bhi beetaunga
tere ehsaano ka badla chuka na paaunga
mere jigar ka hi tukada hain ye bhaai mera
chamakte chaand ke jaisa hai ye mukhada tera
hamare aas paas ab nahi hain andhera
gagan se taare bhi jo tod ke main laaunga
gagan se taare bhi jo tod ke main laaunga
tere ehsaano ka badla chuka na paaunga
main apne pyaar ke saaye mein tujho paalunga
meri nigaho ka saya bhi tujhpe daalunga
ghamo ki dhoop se tujhko sada sambhalunga
jo farz maata pita ka bhi main nibhaunga
jo farz maata pita ka bhi main nibhaunga
tere ehsaano ka badla chuka na paaunga
main apni zindagi bhi tujh pe jo lutaunga
tere ehsaano ka badla chuka na paaunga