mai jaha rahu, mai kahi bhi hu teri yaad sath hai
kisi se kahu ke nahi kahu, yeh jo dil ki baat hai

kehne ko saath apne ek duniya chalti hai
par chhupke iss dil me tanhaayi palti hai
bas yaad saath hai, teri yaad saath hai
teri yaad saath hai, teri yaad saath hai
kahi toh dil me yaado ki ek sui gad jaati hai
kahi har ek tasvir bahut hi dhundhli pad jaati hai
koyi nayi duniya ke naye rango me khush rehta hai
koyi sab kuchh paake bhi yeh man hi man kehta hai
kehne ko saath apne ek duniya chalti hai
par chhupke iss dil me tanhaayi palti hai
bas yaad saath hai, teri yaad saath hai
teri yaad saath hai, teri yaad saath hai
kahi toh bite kal ki jade dil me hi utar jaati hai
kahi jo dhage tute toh malaye bikhar jaati
koyi dil me jagah nayi baato ke liye rakhta hai
koyi apni palko pe yaado ke diye rakhta hai