maine socha tha agar
maut se pahle pahle
maine socha tha agar
maut se pahle pahle
duniya ke birano main
maine socha tha agar
hasti ki shamshano mein
kisi insan ko bas
ek bhi nishan ki gal
sachchi ve laag mohabbat
kahi ho jaaye naseeb
wahi sahil jo bahut dur
nazar aata hai
khud b khud khichta chala
aata hai kashti ki karib
maine socha tha yu hi dil
ki kamal khilte hai
maine sochha tha
wahi sabr o sukun milte hai
meine socha tha yun hi
jakhme jigar silte hai
lekin sochne hi se murade
to nahi mil jati
aisa hota to har ek
dil ki tamnna khilti
koshishe lakh sahi
baat nahi banti hai
aisa hota to har ek
raahi ko manzil milti
meine socha tha ki
insaan ki kismat aksar
tut jati hai bikhrati
hai sambhal jati hai
apsara chand ki badli
se nikal jati hai
par mere waqt ki gardish ka
to kuch aant nahi
khushk dharti bhi to
majhdhaar bani jati hai
kya mukddar se shikayat
kya jamane se gila
khud meri sans hi
talwawr bani jati hai
haay phir bhi sochta hoon
raat ki siyahi mein taro
ke diye jalte hai
khun jab rota hai
dil geet tabhi dhalte hai
jinko jeena hai wo
marne se nahi darte hai
isliye mera piyala hai
jo khali to
ye khali hi sahi
mujhko hotho se lagane do
yun hi pine do
zindagi mein meri har ek mod pe
nakaam sahi
phir bhi umeedo ko
pal bhar ke liye jine do
phir bhi umeedo ko
pal bhar ke liye jine do