maiya ke bina beta
o maiya ke bina beta
jaise panchi kate par ka
na ghar ka na bahar ka
ho maiya ke bina beta
samay se bhojan tak na mile
use lori kaun sunaye re
khilne ki falne ki umar me haye
phulwa murjha jaye re
wo phulwa murjha jaye re
mata ke liye jo chandan
apni mata ke liye jo chandan
wahi dard auro ke sar ka
na ghar ka na bahar ka
ho mayya ke bina beta
har koi usko aankhe dikhaye
har koi dutkare
ek aachal ki chaya bina jag
sara bairi hua re
use har koi dutkare
mol koi na samjha
yaha mol koi na samjhaye
allah ki dharohar ka
na ghar ka na bahar ka
ho maiya ke bina beta
chota sa ek shabd hai maa par
badi hai jimmedari
bacho ki khatir har dukh haskar
sahti hai maa bechari
dukh sahti hai maa bechari
baki sab rishto me
o baki sab rishto me
pyar hota hai upar ka
na ghar ka na bahar ka
ho maiya ke bina beta
dhup sahi barsate nikali
sone ki deh galai hai
tab kahi jake bete ko maa
is manjil par la payi hai
is manjil par la payi hai
dukhiya ke bete ne
ek dukhiya ke bete ne
pad paya hai aadar ka
na ghar na bahar ka
ho maiya ke bina beta
bichde hue mil jate hai lekin
der badi ho jati hai
ek choti si bhul bhi humko
kitna khun rulati hai
hume kitna khun rulati hai
rah jata hai man ko
o rah jata hai man ko
pachtawa umar ka
na ghar ka na bahar ka
ho maiya ke bina beta
jaise panchi kate par ka
na ghar ka na bahar ka
ho maiya ke bina beta