nat-khat nat-khat jamuna ke tath par kuch toh churaye haye maiyya
dil churaye, neendh churaye, chain churaye haye maiyya
kaise main jaaoun ghar apne sab laaj sharam main chodhi re
kaise kahun kis nat-khat ne kiya maakhan chori re
maiyya yashoda mori gagri se jamuna ke pul par
maakhan haan koi de maakhan chura le gaya
ho maiyya yashoda kaise jaaoun ghar jamuna ke pul par
maakhan haan koi de maakhan chura le gaya
mori baanh modi nat-khat re
kare dil ko jodi nat-khat re
mori gagri phooti nat-khat re
main bojh se chhooti nat-khat re
mori thaame kalai uss kinaare le gaya
ho maiyya yashoda sacch kehta hoon main jamuna ke pul par
maakhan ki gagri se maakhan bacha le gaya
ho maiyya yashoda mori gagri se jamuna ke pul pe
maakhan haan koi de maakhan chura le gaya
ho suna tha ik din maine jamuna tath par chalte chalte
kisi gopi ko beth akele rotey raina dhalte
maine socha ke meri maiyya se main kya bolunga
kahe na roka uss roti gorriya ke dil ko chalte
haan maakhan toh churaya, par usko bhi sikhaya
ke tu bhi toh thoda sa chak le bhai
oo maai hum dono phir jaa baithe uss jamuna ke pul par
maakhan hum mil ke, re maakhan chata ho gaya
oo maiyya yashoda mori gagri se jamuna ke pul pe
maakhan haan koi de maakhan chura le gaya
ho maahi mohe laaj aave kaahe main ro ro karti thi
tu hi maakhan chori main beth ke bas aahein bharti thi
phir tere nat-khat ne ik din mohe yeh raaz bataya
ho phir tere nat-khat ne ik din mohe yeh raaz bataya
chori hota tha maakhan kyun ke chaaron se darrti thi
jo maakhan jam ke khaye, toh kya koi churaye
toh chakh le aur chakha le thoda maai
ho maai tore nat-khat ko maine hi jamuna ke pul pe
maakhan khilaaya re maakhan mera ho gaya
maiyya yashoda sach kehta hun main jamuna ke pul par
maakhan haan gori ko maakhan khilane gaya
nat-khat nat-khat jamuna ke tath par kuch toh churaye haye maiyya
dil churaye, neendh churaye, chain churaye haye maiyya
kaise main jaaoun ghar apne sab laaj sharam main chodhi re
kaise kahun kis nat-khat ne kiya maakhan chori re
oo maiyya yashoda mori gagri se jamuna ke pul pe
maakhan haan koi de maakhan chura le gaya
maiyya yashoda sach kehta hun main jamuna ke pul par
maakhan ki gagri se maakhan bacha le gaya
d song is really fabulous n really a mdern one...ar rahman u really rock.
pakhi is really cute n she dances great.raghu also danced..yaar u luk nice wen u smile to hass diya kar sabki band bajata phirta he bhai..