manmohan murali teri bairan ban gayi haye
baje to radha bawri na baje to man akulaye
suno ek din ki bat thi wo poonam ki rat
suno ek din ki bat thi wo poonam ki rat
radha baithi thi jamuna ke teer
badi man me adhir bhare naino me neer
nahi aaye salone sawre akulane lage naina ha bawre
tabhi boli sakhi dekh bholi sakhi
tere murli wale sham aa gaye
tere man ke mohan sham aa gaye
tere sapno ke ghanshyam aa gaye
to radha boli radha boli radha boli
radha boli radha boli bade ji tum aaye ho
jaise hamko tumhare bin chain nahi
apni murli me ras bhar laye ho
jaise hamko tumhare bin chain nahi
radha boli bade ji tum aaye ho
jaise hamko tumhare bin chain nahi radha boli
bahe naino se neer kya tumhaare liye
uthe tan man me peed kya tumhare liye
uthe hirday ka dhir kya tumhare liye
lage virah ka teer kya tumhare liye
mera dukhda bada dukhda mitane aaye ho
jaise hamko tumhare bin chain nahi
apni murli me ras bhar laye ho
jaise hamko tumhare bin chain nahi
radha boli bade ji tum aaye ho
jaise hamko tumhare bin chain nahi radha boli
koi karta ho maan to aji tumko kya
koi karta ho maan to aji tumko kya
jaye virahan ki aan to aji tumko kya
koi kho dale pran to aji tumko kya
koi de dale jan to aji tumko kya
jab khud ko jab khud ko padi tab aaye ho
jaise hamko tumhare bin chain nahi
apni murli me ras bhar laye ho
jaise hamko tumhare bin chain nahi
radha boli bade ji tum aaye ho
jaise hamko tumhare bin chain nahi radha boli
This much I do have to add that this one simply is my top priority, in every respect a perfect musical composition.