Thumb Song Heading Singer Composer Lyricist Actor Film (Year) Category
thumb coming soon
4.88 - 8 votes
Sad Songs
Video of this song from youtube
Lyrics of Mann Jaage - मन जागे
mann jaage saari raat mera dewaana
mann maane na yeh baat ke woh tha begana
mann jaage saari raat mera dewaana
mann maane na yeh baat ke woh tha begana
hai khud se hi khafa khafa
kya chahiye nahi pata, banwara
paaya wo na chaha, chaha wo na paya
jiske peeche bhaage woh saaya hai re saya
kya kya raste dhundhe, kya kya dukh na paya
par saya thehra saaya ke haatho me na aaya

koi subaah jo mai uthu
tujhe agar mile sukoon, banwara
ginta rehta taare, lotu mai angaare
khud se ladta phirta, yeh jag ko thokar maare
khinche khinche baithe baithe baithe bhaage
na sunta khudke aage yeh pagal ho gaya re
paaya woh na chaaha, chaaha woh na paaya
jiske peeche bhaage woh saaya hai re saaya
kya kya raste dhundhe, kya kya dukh na paaya
par saaya thehra saaya ke haathon me na aaya

hai zindagi muhaal kyun
bana liya yeh haal kyun bata
uljha uljha rehta na sunta na kuch kehta
sooni sooni aankho se reh reh paani behta
toote saare naate haara mai samjhate
bichde din aur saathi phir wapas nahi aate
wapas nahi aate, wapas nahi aate
yeh dard kyun, yeh pyaas kyun
phira kare udaas kyun
yeh rald kyun, talaash kyun bata, banwara

thandi aahe bharke, jeeta hai mar mar ke
kaisa reh gaya hai yeh dariya se guzar ke
dhoke se nazar ke, jhoke se umar ke
ret ke mahal sa deh gaya hai bikhar ke
thandi aahe bharke, jeeta hai mar mar ke
kaisa reh gaya hai yeh dariya se guzar ke
dhoke se nazar ke, jhoke se umar ke
ret ke mahal sa deh gaya hai bikhar ke
mann jaage jaage re
mann jaage jaage jaage jaage, banwara
lyrics of song Mann Jaage
Comments on song "Mann Jaage"
MAMUZarka on Saturday, April 21, 2012
Ajib Baath nahin hai...Mujhe par kar bahut acha laga ke aap itne acha hindi
bol rahe hai aur ek Indian ko us ki sagafat aur tehzeeb ka daat dethe hai.
Un ki sifaat karthe hai. Mujhe bhi aap ke yeh baath par karke bahut acha
laga kyunke aap is ache bathein janthe hai aur is liye bhi ke aap
Afghanistan ke hai. Main bahut khush hui. Phir jald aapke profile par gaye
ke deko aur apne afghani si milo. Magar ek afsos hua waha ja kar. Aap ne
waha apni hai Afghanistan ke logo ko insult kiya hai.
mannyrauni1 on Wednesday, April 25, 2012
i fell in love when i was studing in chandigard. after 3 years i still
remembering her. but now she is married with another guy. now i can't do
any thing.
TheSilentlover88 on Saturday, March 31, 2012
Wow..
its really AwesOme..*
it make me crY;';';';'
&
Feel sad for those ppl'z who r still listning Song'z lyks==> Muuni__&__Shella etc,,, ??
TheSilentlover88 on Sunday, April 08, 2012
Wow..
its really AwesOme..*
it make me crY;';';';'
&
Feel sad for those ppl'z who r still listning Song'z lyks==> Muuni__&__Shella etc,,, ??
Vaibhav Jain on Thursday, March 29, 2012
Something nostalgic for ears after being swamped by Munnis & Chamelis...:/
Movie Film Cast Singer Lyricist Composer Director Producer External Links
Bittoo Boss (2012)
Pulkit Samrat, Amita Pathak, Rajendra Sethi, Mohan KapoorRaghav Sachar, Mika Singh, Sonu Nigam, Shreya Ghoshal, Shahid Maliya, Neeti Mohan, Natalie Di Luccio, Tulsi Kumar, Master SaleemKumaar, Luv Ranjan, Aseem Ahmed AbbasiRaghav SacharSupavitra BabulKumar Mangat Pathak, Abhishek PathakBittoo Boss at IMDB      Bittoo Boss at Wikipedia
Popular Links on HindiGeetMala
HindiGeetMala Search Panel - Songs & Films
  • Search Songs
    Type
  • Search Films
    Type